hua zahir khat-e-ru-e-nigar aahista-ahista ki jyun gulshan mein aati hai bahaar aahista-ahista kiya hun rafta rafta ram us ki chashm-e-wehsi kun ki jyun aahu kun karte hain shikar aahista-ahista jo apne tan kun misl-e-juebar awwal kiya pani hua us sarw-qad sun ham-kanar aahista-ahista barang-e-qatra-e-simab mere dil ki jumbish sun hua hai dil sanam ka be-qarar aahista-ahista use kahna baja hai ishq ke gulzar ka bulbul jo gul-ruyan mein paya e'tibar aahista-ahista mera dil ashk ho pahuncha hai kuche mein sirijan ke gaya kabe mein ye kashti-sawar aahista-ahista 'wali' mat hasidan ki baat sun dil kun mukaddar kar ki aakhir dil sun jawega ghubar aahista-ahista