hudud-e-zat mein auron ka zikr hi kya hai khud aadmi bhi na samjha ki aadmi kya hai ye fasle jo tere qurb ki zamanat hain simat gae to bataunga zindagi kya hai hami ko khak samajh lo tumhaari umr-e-daraaz ye tazkira to mukammal ho aadmi kya hai hijab-e-zat se bahar kahan abhi hum log abhi ye kaun batae ki aadmi kya hai kaha na tha ki mohabbat ka tazkira na karo kise khabar thi ki mearaj-e-zindagi kya hai sawal ye hai ki tum kya nigah rakhte ho niyaz-mand to waqif hai bandagi kya hai rawa nahin hai musalsal gurez-e-naqd-o-nazar kabhi kabhi to batao ki zindagi kya hai abhi to mujh se khudai ki had mein baat karo khuda bano to batana ki aadmi kya hai jabin-e-shauq pe sajdon ke dagh ai 'anjum' ye bandagi hai to mear-e-bandagi kya hai