guzrenge tere daur se jo kuchh bhi haal ho khud kaun chahta hai ki jina muhaal ho main ne tamam-umr guzari hai dil ke sath lao mere huzur jo amr-e-muhaal ho ye soch kar fareb-e-mohabbat mein aa gae hum itne khush kahan jo natija malal ho main jaise ajnabi koi apne dayar mein tum jaise mere zehn mein koi sawal ho dil ke muamalat hi yaro ajib hain apni khabar nahin hai to kis ka khayal ho hum ehtiyat-e-dida-o-dil se guzar chuke aa jae samne jo khuda-e-jamal ho soz-e-gham-e-hayat se 'anjum' gurez kar loha nahin hai dil jo tapane se lal ho