hue janab mein ab tak na tere hum gustakh khuda ke waste hum se na ho sanam gustakh chhupaya raaz-e-mohabbat ko dil mein par haihat kare hai nam mera bad ye chashm-e-nam gustakh jo aawe ji mein so kah le main hun wo ai pyare rahun hazar huzuri mein par hun kam gustakh kaha gale se laga le tu iltifat nahin kahe hai tis pe mujhe kyun tu dam-ba-dam gustakh yahi ummid hai 'chanda' ko khub-ruyon mein rakhe hamesha tera ya ali karam gustakh