aziyyaton se nikalne ka mashwara deti main us ki thi to nahin phir bhi hausla deti kisi azab se kam to nahin hai khush rahna dua ke nam pe kyun us ko bad-dua deti chhupa bhi leti mere bhed ko agar bil-farz hawa ka kya hai koi aur gul khila deti baja ki sahl na tha us ka ham-safar hona kam az kam us ko palatne ka rasta deti jo mujh se ishq ke qisse sunata phirta tha kahin wo milta to main us ko aaina deti mere khuda koi masraf to hota ashkon ka fasil-e-shahr ki tahrir hi mita deti khuda gawah ki sar se jhatak ke dekh liya nahin tha bas mein wagarna use bhula deti main us ki khas inayat se bach gai hun 'qamar' wagarna khalq-e-khuda to mujhe mita deti