hue jis ishq ke mahsur jaane hi nahin deta hamein khud se ziyaada dur jaane hi nahin deta mizajan ibtida se hum asir-e-dasht-e-hijran hain jahan se ab dil-e-majbur jaane hi nahin deta ye lutf-e-ishq aisa hai lipat jata hai pairon se koi sarmad ho ya mansur jaane hi nahin deta jahan bechain phirte hain ujale mangne wale andhera us jagah tak nur jaane hi nahin deta hamein darkar hai rukhsat gham-e-dauran se kuchh din ki wo arzi kar ke na-manzur jaane hi nahin deta ajab surma banaya hai teri zarb-e-tajalli ne meri aankhon se koh-e-tur jaane hi nahin deta fazaon mein wafa aur khak mein itni mohabbat hai kahan jaun bahawalpur jaane hi nahin deta