hue karwan se juda jo hum rah-e-ashiqi mein fana hue

hue karwan se juda jo hum rah-e-ashiqi mein fana hue
jo gire to naqsh-e-qadam bane jo uthe to bang-e-dara hue

jo hawa se zulf bikhar gai nazar un ki saf badal gai
jo asir-e-halqa-e-naz the wo qatil-e-tegh-e-ada hue

hua baad-e-wasl ajab maza ki khamosh baithe juda juda
hama-tan main sabr-o-sukun hua hama-tan wo sharm-o-haya hue

uthe hum jo khwab-o-khayal hai lage takne dida-e-haal se
ki wo kab uthe wo kidhar gae abhi pas the abhi kya hue

jo nigah hai chashm-e-siyah mein wahi barq-e-tur hai rah mein
teri aankh par jo fida hue wo shahid-e-rah-e-khuda hue

bane 'qadr' aise ghubar hum hue gardishon mein wo khar hum
ki misal-e-daera-e-falak jo uthe to be-sar-o-pa hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close