tut kar aur bhi gudaz hua dil hamara nawa-e-saz hua aankh jhapki ki aaina tuta hijr ka silsila daraaz hua tere parde mein apni khwahish ki main kahan khud se be-niyaz hua kasrat-e-wird-e-ism-e-azam se munkashif dil pe harf-e-raaz hua dhup odhe raha badan barson tab kahin ja ke imtiyaz hua