hue khush hum ek nigar se hue shad us ki bahaar se kabhi shan se kabhi aan se kabhi naz se kabhi pyar se hui pairahan se bhi khush-dili kali dil ki aur bahut khili kabhi turre se kabhi gajre se kabhi baddhi se kabhi haar se wo kanari in mein jo thi gundhi use dekh kar bhi hui khushi kabhi nur se kabhi lahar se kabhi tab se kabhi tar se gae us ke sath chaman mein hum to gulon ko dekh ke khush hue kabhi sarw se kabhi nahr se kabhi barg se kabhi bar se wo 'nazir' se to mila kiya magar apni waza nen is tarah kabhi jald se kabhi der se kabhi lutf se kabhi aar se