sukhan raaz-e-nashat-o-gham ka parda ho hi jata hai ghazal kah len to ji ka bojh halka ho hi jata hai wo aalam jab kisi mayus ka hota nahin koi tujhe malum bhi hai tu kisi ka ho hi jata hai kiya hai main ne izhaar-e-tamanna jaane kis kis se mujhe aksar teri surat ka dhoka ho hi jata hai hujum-e-arzu hamrah-e-jaan-o-dil sahi lekin qarib-e-ku-e-jaanan koi tanha ho hi jata hai hamein to umr-bhar ka gham ki aisa kyun hua hoga hamein ab kaun samjhae ki aisa ho hi jata hai koi tujh sa nahin hai anjuman-dar-anjuman dekha magar tanhaiyon mein koi tujh sa ho hi jata hai na ro yun 'shaz' aankhen jo dikhaen dekhte jao na itna gham karo ye dil hai sahra ho hi jata hai