hue sab ke jahan mein ek jab apna jahan aur hum musalsal ladte rahte hain zamin-o-asman aur hum kabhi aakash ke tare zamin par bolte bhi the kabhi aisa bhi tha jab sath thin tanhaiyan aur hum sabhi ek dusre ke dukh mein sukh mein rote hanste the kabhi the ek ghar ke chand suraj naddiyan aur hum moarrikh ki qalam ke chand lafzon si hai ye duniya badalti hai har ek yug mein hamari dastan aur hum darakhton ko hara rakhne ke zimmedar the donon jo sach puchho barabar ke hain mujrim baghban aur hum