jaane kya baat hai manus bahut lagta hai ye jo ek ghair sa is bazm mein aa baitha hai umr-bhar tu ne zamane ka kaha mana hai dil ki aawaz bhi sun dekh to kya kahta hai mil bhi jae jo koi naw to ab kya hasil ab to dariya mere darwaze pe aa pahuncha hai us ne dil jaan ke chheda use malum na tha mere pahlu mein dahakta hua angara hai mera ji jaane hai ya mera khuda jaane hai kya suna hai tere is shahr mein kya dekha hai hae kya dida-wari hai ki sahar-dam ye khula jis ko hum shama samajhte rahe parwana hai koi roe to hanso koi hanse to rowo aaj ke daur mein jine ka yahi rasta hai mere sine mein khunuk tirgiyan chhod gaya ek aaina ki suraj ki tarah jalta hai koi basti na koi ped na chashma koi qafila umr-e-rawan ka ye kahan utra hai jah-o-mansab ki hawas ho to main kafir 'shohrat' main sag-e-ku-e-ali hun mera kya kahna hai