hui ek khwab se shadi meri tanhai ki pahli beti hai udasi meri tanhai ki abhi malum nahin kitne hain zati asbab kitni wajhen hain samaji meri tanhai ki ja ke dekha to khula raunaq-e-bazar ka raaz ek ek chiz bani thi meri tanhai ki shahr-dar-shahr jo ye anjumanen hain aabaad tarbiyat-gahen hain sari meri tanhai ki sirf aaina-e-aghosh-e-mohabbat mein mili ek tanhai jawabi meri tanhai ki saf hai chehra-e-qatil meri aankhon mein magar mo'atabar kab hai gawahi meri tanhai ki hasil-e-wasl sifar hijr ka hasil bhi sifar jaane kaisi hai riyazi meri tanhai ki kisi haalat mein bhi tanha nahin hone deti hai yahi ek kharabi meri tanhai ki main jo yun phirta hun mai-khanon mein but-khanon mein hai yahi roza namazi meri tanhai ki 'farhat-ehsas' wo ham-zad hai mera jis ne shahr mein dhum macha di meri tanhai ki