soz-e-gham-e-firaq se dil ko bachae kaun zalim teri lagai hui ko bujhae kaun mitti mariz-e-gham ki thikane lagae kaun duniya to un ke sath hai mayyat uthae kaun tewar chadha ke puchh rahe hain wo haal-e-dil rudad-e-gham to yaad hai lekin sunae kaun hum aaj kah rahe hain yahan dastan-e-qais kal dekhiye hamara fasana sunae kaun ai nakhuda khuda pe mujhe chhod kar to dekh sahil pe kaun ja ke lage dub jae kaun ruswa karegi dekh ke duniya mujhe 'qamar' is chandni mein un ko bulane ko jae kaun