hui hai sham to aankhon mein bas gaya phir tu kahan gaya hai mere shahr ke musafir tu meri misal ki ek nakhl-e-khushk-e-sahra hun tera khayal ki shakh-e-chaman ka tair tu main jaanta hun ki duniya tujhe badal degi main manta hun ki aisa nahin ba-zahir tu hansi-khushi se bichhad ja agar bichhadna hai ye har maqam pe kya sochta hai aakhir tu faza udas hai rut muzmahil hai main chup hun jo ho sake to chala aa kisi ki khatir tu 'faraaz' tu ne use mushkilon mein dal diya zamana sahab-e-zar aur sirf shaer tu