ilaj-e-dard-e-dil tum se masiha ho nahin sakta tum achchha kar nahin sakte main achchha ho nahin sakta adu ko chhod do phir jaan bhi mango to hazir hai tum aisa kar nahin sakte to aisa ho nahin sakta abhi marte hain hum jine ka tana phir na dena tum ye tana un ko dena jin se aisa ho nahin sakta tumhein chahun tumhaare chahne walon ko bhi chahun mera dil pher do mujh se ye jhagda ho nahin sakta dam-e-akhir meri baalin pe majma hai hasinon ka farishta maut ka phir aae parda ho nahin sakta na barto un se apnaiyat ke tum bartaw ai 'muztar' paraya mal in baaton se apna ho nahin sakta