hui hai umr ki khurshid se nazar na mili hamare hijr ki shab ko kahin sahar na mili mili to un se magar fursat-e-nazar na mili phir us ke baad khud apni hamein khabar na mili tere karam se zamane mein mujh ko kya na mila nahin mili to bas ek teri rahguzar na mili khula ye raaz ki na-paedar hai duniya yahan kisi se koi baat mo'atabar na mili asir-e-halqa-e-dam-e-khayal hai ab tak wo bad-nasib jise tab-e-baal-o-par na mili khuda ki zat se kuchh munharif rahe wo log ki jin ko chashm mili chahsm-e-haq-nigar na mili kahan kahan tere jalwe na aashkar hue kahan kahan tere jalwon se ye nazar na mili har ek raat ki hoti to hai sahar lekin hamari raat ko arsa hua sahar na mili khuda ki shan hai 'saib' sab ek hain lekin kisi bashar se kahin surat-e-bashar na mili