rukh apni tamannaon ka ab mod raha hun ek tute hue shakhs ko main jod raha hun manzil ka tayyun hai na sanson ka bharosa main waqt ki taqlid mein bas daud raha hun main auron ke hisse ke bhi dam phunk na jaun ye soch ke jaldi se main dam tod raha hun jis sehr ne toda hai mujhe haal mein aa kar mazi mein usi sehr ka main tod raha hun insan ki takmil hai rah jaana adhura kuchh kaam adhure main tabhi chhod raha hun jis shakh ko chhune se hua khuld se bahar main aaj bhi us shakh se phal tod raha hun ek gham se hai ashkon ke talluq ki wazahat main ashk se patthar ko agar tod raha hun jiddat ka taqaza hai ulat baat tu 'kazim' diwar ko main sar se miyan phod raha hun