hui jab shama raushan bazm mein parwane jag utthe junun ne is tarah angdai li diwane jag utthe ba-faiz-e-chashm-e-saqi bazm mein paimane jag utthe idhar gardish mein jam aae idhar maikhane jag utthe ye kis jaan-e-bahaaran ne ba-andaz-e-karam dekha muqaddar khul gae sahraon ke virane jag utthe khuda malum kya tasir thi rindon ki aamad mein qadam rakkha idhar aur us taraf maikhane jag utthe kisi ko to nawa-e-dard sun kar jagna hi tha agar apne nahin jage to kya begane jag utthe moazzin ki sada-e-dil-nashin ka ye asar dekha haram walon ki aankhen khul gain but-khane jag utthe ye kis ne zikr chheda us sarapa-naz ka 'jauhar' ki husn-o-ishq ke soe hue afsane jag utthe