shuur-e-gham ko jaga iztirab paida kar nafas nafas mein naya inqalab paida kar shua-e-nur se zarron ko de ke tabani ek aaftab se lakh aaftab paida kar nashat-e-gham se mayassar hai zindagi ko farogh numud-e-gham se gham-e-be-hisab paida kar hai iztirab mein muzmar teri hayat ka raaz sukun ka nam na le iztirab paida kar shikast-e-jam pe buniyaad-e-ishq-o-masti rakh shikast-e-rang se kaif-e-sharab paida kar jahan-e-nau ka tasawwur baja sahi lekin jahan-e-husn ka pahle jawab paida kar jo zindagi ko bana de ek aaina 'jauhar' rukh-e-hayat mein wo aab-o-tab paida kar