hui main kaise nazar ka shikar kya malum

hui main kaise nazar ka shikar kya malum
milega kab mere dil ko qarar kya malum

kisi ki yaad mein din to guzar gaya lekin
kategi kaise shab-e-intizar kya malum

main sach kahungi magar jaanti hun duniya mein
karega kaun mera eatibar kya malum

qafas mein qaid hain jo log unhen khabar hi nahin
khizan hai ya hai chaman mein bahaar kya malum

mere qarib se uth kar tumhaare jate hi
bikhar gae hain kyon hasti ke tar kya malum

teri talash mein guzri hai zindagi ya-rab
bisat-e-gardish-e-lail-o-nahaar kya malum

tamam raat satata hai ek khayal 'jamal'
karega kaun sitare shumar kya malum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close