hui muddaten ai dil-e-hazin na payam hai na salam hai ki usi ko kahte hain dosti ki usi ka dosti nam hai kabhi jae baad-e-saba udhar to ye kahna us ki bhi hai khabar ba-juz ek gham ke siwa tere jise khana pina haram hai tu sukun-o-sabr mitae ja gham-e-ishq mujh ko rulae ja ho tadap tadap ke sahar mujhe yahi dard-e-dil tera kaam hai main dikhaun kis ko ye haal-e-dil main sunaun kis ko ye haal-e-dil kahin mujh se khana-ba-dosh ko na qarar hai na qayam hai mujhe dard tu ne ata kiya mere mehrban tera shukriya bana dard-e-dil tera zindagi tere dard-e-dil se hi kaam hai na qarar aae kisi tarah mere dard-e-dil tu taraqqi kar shab-e-gham tadapte hi ho sahar shab-e-gham tadapne se kaam hai ye kaisi us ki hai dosti ye bata to mujh ko dil-e-hazin nahin jis ko dur ka wasta use dur hi se salam hai wo nazar bacha ke chala gaya main ye 'raaz' kahta hi rah gaya zara jaane wale ye baat sun ye bata to kya tera nam hai