hui shakl apni ye ham-nashin jo sanam ko hum se hijab hai kabhi ashk hai kabhi aah hai kabhi ranj hai kabhi tab hai zara dar pe us ke pahunch ke hum jo bulawen us ko to dosto kabhi ghussa hai kabhi chhed hai kabhi hila hai kabhi khwab hai jo us anjuman mein hain baithte to mizaj us ke se hum ko wan kabhi ijz hai kabhi bim hai kabhi rasm hai kabhi dab hai wo udhar se ja ke jo aata hai use donon haal se dil mein yan kabhi soch hai kabhi fikr hai kabhi ghaur hai kabhi tab hai jo wo baad bosa ke naz se zara jhidke hai to 'nazir' ko kabhi misri hai kabhi qand hai kabhi shahd hai kabhi rab hai