teri nazar sabab-e-tishnagi na ban jae kahin sharab meri zindagi na ban jae kabhi kabhi to andhera bhi khub-surat hai tera khayal kahin raushni na ban jae bhadak na jae kahin sham-e-ilm-o-danish bhi junun junun hi rahe aagahi na ban jae main dar raha hun kahan tera samna hoga tera wajud hi meri kami na ban jae tere baghair zamane ko munh dikha na sakun ye zindagi kahin sharmindagi na ban jae jahan mein hai ki kamin-gah mein khuda jaane ab is qadar bhi subuk aadmi na ban jae ye wahm dil ko satata hai ru-ba-ru tere ye teri did kahin aakhiri na ban jae tarab ki bazm mein kam kam fasurdagi ai 'shaz' kahin mizaj ki uftad hi na ban jae