hui takhir to kuchh bais-e-takhir bhi tha aap aate the magar koi inan-gir bhi tha tum se beja hai mujhe apni tabahi ka gila us mein kuchh shaiba-e-khubi-e-taqdir bhi tha tu mujhe bhul gaya ho to pata batla dun kabhi fitrak mein tere koi nakhchir bhi tha qaid mein hai tere wahshi ko wahi zulf ki yaad han kuchh ek ranj-e-giran-bari-e-zanjir bhi tha bijli ek kaund gai aankhon ke aage to kya baat karte ki main lab-tishna-e-taqrir bhi tha yusuf us ko kahun aur kuchh na kahe khair hui gar bigad baithe to main laiq-e-tazir bhi tha dekh kar ghair ko ho kyun na kaleja thanda nala karta tha wale talib-e-tasir bhi tha peshe mein aib nahin rakhiye na farhad ko nam hum hi aashufta-saron mein wo jawan-mir bhi tha hum the marne ko khade pas na aaya na sahi aakhir us shokh ke tarkash mein koi tir bhi tha pakde jate hain farishton ke likhe par na-haq aadmi koi hamara dam-e-tahrir bhi tha rekhte ke tumhin ustad nahin ho 'ghaalib' kahte hain agle zamane mein koi 'mir' bhi tha