sab hasinon mein wo pyara khub hai ek chehra jism sara khub hai aise mukhde ki balaen lijiye bhola bhola pyara pyara khub hai meri mahfil mein kabhi aate nahin ghair ke ghar mein guzara khub hai donon aankhen qatil-e-ushshaq hain lashkar-e-mizhgan saf-ara khub hai charkh par tum ko chadha kar dekhiye kaun sa taron mein tara khub hai tum jo aae jism mein jaan aa gai jaan mein paira tumhaara khub hai pas apne ho agar taswir-e-yar zindagani ka sahaara khub hai kyun milen hum aap se chori-chhupe baat jo hai aashkara khub hai tu kaha main ne to aazurda hue ghair ki gali gawara khub hai chand se badhti hai aankhon ki ziya khub-ruon ka nazara khub hai doston se inhiraf achchha nahin dushmanon se bhi mudara khub hai mang baalon mein hi kya hai aab-dar dub-marne ko ye dhaara khub hai aabru jati rahegi aap ki 'bahr' ab us se kinara khub hai