hujum-e-gham-e-jawedan ho raha hai mere sabr ka imtihan ho raha hai fasana tere ishq ka kah raha hun zamana mera ham-zaban ho raha hai bas ek mere hi aashiyan ki khalish se jise dekhiye baghban ho raha hai na dube kahin aarzuon ki kashti mera bahr-e-gham phir rawan ho raha hai zara baghban ho gaya hai jo ghafil har ek phul ek aashiyan ho raha hai teri rah mein karwan zindagi ka ghubar-e-pas-e-karwan ho raha hai nasheman ke tinkon se phute hain ghunche mera aashiyan gulsitan ho raha hai