kabhi dastan-e-hasti ye tamam tak na pahunche

kabhi dastan-e-hasti ye tamam tak na pahunche
na fana se aashna ho to dawam tak na pahunche

tu pila mujhe nazar se ki ye jam tak na pahunche
kahin baada-e-mohabbat sar-e-am tak na pahunche

tu sitam ki qainchiyon se par-e-arzu jo kate
koi tair-e-takhayyul tere baam tak na pahunche

mera waqt-e-wapsi hai tu na aa mere sirhane
ki jafa ki koi tohmat tere nam tak na pahunche

jo sanam-kade mein jalwa tera dekh le barahman
tera nam chhod kar wo kabhi ram tak na pahunche

teri ek yaad rangin meri zist ka sahaara
jo wo subh ko na aae to ye sham tak na pahunche

mera aakhiri tha sajda ki nafas ne sath chhoda
tere dar pe sar jhukaya to qiyam tak na pahunche

mera karwan-e-hasti mere sabr hi ne luta
kabhi aah bhi jo khinchi tere nam tak na pahonche

gham-e-ishq gar na ho to na ho dil asir-e-gesu
ki na ho jo dana tair kabhi dam tak na pahunche

main jhuka hun bandagi ko to wo rukh phira rahe hain
ki salam rafta rafta ye payam tak na pahunche

jo naqab-e-rukh ulat kar kabhi samne bhi aaya
jo chadhae tewaron ko ki salam tak na pahunche

jo pila de muskura kar tu jhuki jhuki nazar se
koi hath mai-kade mein kabhi jam tak na pahunche


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close