hujum-e-gham mein kis zinda-dili se musalsal khelta hun zindagi se qarib aate hain lekin be-rukhi se purane dost bhi hain ajnabi se farishte dam-ba-khud iblis hairan tawaqqo ye kahan thi aadmi se nizam-e-asr-e-nau ye kah raha hai andhere phailte hain raushni se chale aae haram se mai-kade mein pareshan ho gae jab zindagi se lagi hai aag jab se gulistan mein bahut darne laga hun raushni se na ho jo tarjuman-e-waqt 'razmi' bhala kya faeda us shairi se