ba-zom-e-khud kahin khud se wara na ho jaun khuda-na-khwasta main bhi khuda na ho jaun bas ek dhyan ki main ungli tham rakhi hai ki bhid mein kahin khud se juda na ho jaun ye sochta hun kisi dil mein ghar karun main bhi aur us se pahle yahan be-thikana ho jaun ye ji mein aata hai mere ki raftagan ki tarah main aaj mulk-e-adam ko rawana ho jaun sab ahl-e-dahr mujhe dhundte na rah jaen main apni zat hi mein lapata na ho jaun koi to ho jo mujhe zindagi hi mein pae kisi ke hath mein aaya khazana ho jaun jo ho sake to mere jite-ji hi qadr karo mabaada main koi guzra zamana ho jaun bas ek tajraba mere liye bahut hai dila ek aur ishq mein phir mubtala na ho jaun main ek charagh-e-sar-e-rahguzar hun 'sahir' hawa ke sath bil-akhir hawa na ho jaun