hujum-e-gham se masarrat kashid karte hain ki hum to zahar se amrit kashid karte hain unhon ne pal rakhe hain zamane-bhar ke gham mere lahu se jo ishrat kashid karte hain hamari fikr abhi qaid hai zawahir mein hum apne kaam se shohrat kashid karte hain sadaen hum ne suni hain jo shahr mein un se ek ek lafz baghawat kashid karte hain main un ko dekh ke hairat mein gharq hun 'asi' wo mere haal se ibrat kashid karte hain