de sakega na tumhein phir koi aawaz kahin meri hasti ka agar tut gaya saz kahin ishq mahkum sahi bekas-o-majbur sahi husn tanha bhi hua hai asar-andaz kahin gham-e-na-qadri-e-duniya to nahin hai lekin nigah-e-dost na kar de nazar-andaz kahin khami-e-zauq-e-talab ne hamein rakkha mahrum ye ghalat hai na suni ho teri aawaz kahin bahr-e-hasti mein jo ubhra to ubhaara tu ne main hua aap na ai dost sar-afraaz kahin rang mahaul-e-chaman se ye huwaida hai 'saghir' kaam aaegi meri jurat-e-parwaz kahin