hujum-e-yas mein man ki dua milti rahi hai ye daulat zindagi mein barha milti rahi hai kisi ka kuchh bigada hi nahin hum ne zamane mein hamein to khwab likhne ki saza milti rahi hai tere dar tak pahunchne ki kabhi naubat nahin aai ki raste mein hamein apni ana milti rahi hai bacha ke lakh rakkha tu ne apne daman-e-dil ko magar zakhmon ko phir bhi kuchh hawa milti rahi hai agar hum ghaur se dekhen to ab mahsus hota hai ki wo hum se yunhi be-muddaa milti rahi hai kahin bhi hath phailae nahin tere siwa hum ne hamein har mod par teri ata milti rahi hai