huk uthti hai mere qalb ki gahrai mein us ki yaad aati hai jab raat ki tanhai mein ab to do waqt ki roti bhi nahin milti hai zindagi kaise kategi meri mahngai mein aaj aaya wo mere ghar to ye mahsus hua mahtab utra ho jaise meri angnai mein meri aankhon se nikal aae khushi ke aansu beti rukhsat jo hui gunjti shahnai mein ghar mein mehman agar aaen to khushi hoti hai main kasar kuchh nahin rakhta hun pazirai mein na to roti hi mayassar hai na kapda na makan zindagi yun bhi guzar jati hai kathinai mein husn aisa hai ki aaine ko hairan kar de ek wafa ki hi kami hai mere harjai mein kaise ashaar mein laega ghazal ki khushbu wo jo masruf hai bas qafiya paimai mein dakhila mera hi mamnua hai gulshan mein 'zaki' jab ki khun main ne diya bagh ki zebai mein ai 'zaki' main ne bhi ye khwah nahin samjha tha un ki sazish rahi shamil meri paspai mein