dil-e-bedar faruqi dil-e-bedar karrari mis-e-adam ke haq mein kimiya hai dil ki bedari dil-e-bedar paida kar ki dil khwabida hai jab tak na teri zarb hai kari na meri zarb hai kari masham-e-tez se milta hai sahra mein nishan us ka zan o takhmin se hath aata nahin aahu-e-tatari is andeshe se zabt-e-ah main karta rahun kab tak ki mugh-zade na le jaen teri qismat ki chingari khudawanda ye tere sada-dil bande kidhar jaen ki darweshi bhi ayyari hai sultani bhi ayyari mujhe tahzib-e-hazir ne ata ki hai wo aazadi ki zahir mein to aazadi hai baatin mein giraftari tu ai maula-e-yasrib aap meri chaarasazi kar meri danish hai afrangi mera iman hai zunnari