hum aadam-zad jo hain roz-e-awwal se kami hai ye ki jo hai maut us ko jaante hain zindagi hai ye jo manzar hai so aa kar mukhtalif hai sab ki aaankhon mein phir aankhen dekhti hain kya tamasha didani hai ye yahan dasht-e-talab mein ek main hun aur siwa mere sarabon ko nichode ja rahi ek tishnagi hai ye andhere dil ne ki thi aarzu us ke ujalon ki meri aankhen hi chhine le raha hai raushni hai ye us ek be-mehr se tark-e-talluq par nadamat kya gawara kar liye kaise sitam sharmindagi hai ye bahut dekha hai tum ne husn-e-sannai magar us ko jo dekho to kahoge wah-wa barjastagi hai ye kashish mardum ki ye hai ya numud-e-najm-e-aswad hai wafur-e-nur hai ya intiha-e-tirgi hai ye musafir daere ke hum guman-e-istaqamat mein bahut aage nikal aae hain yani wapsi hai ye