zamane ho gae tere karam ki aas lagi qarib-e-mai-kada sahra si mujh ko pyas lagi lahu rulate hain mujh ko suhawne manzar chatakti chandni tere bina udas lagi na us mein mai hai na pani to pyas kaise bujhe ye zindagi mujhe tuta hua gilas lagi ye garm garm se aansu bata rahe hain yahi zarur aag kahin dil ke aas-pas lagi yahan to koi bhi malik nahin mere sahab tamam khalq mujhe khwahishon ki das lagi jahez nam hi se rang ud gaya us ka gharib bap ki beti jahan-shanas lagi kadakti dhup mein chal to padi dulhan 'hasrat' qadam qadam pe use raste mein pyas lagi