hum aagahi-e-ishq ka afsana kahenge kuchh aql ke mare hamein diwana kahenge rahta hai wahan zikr-e-tuhur-o-mai-e-kausar hum aaj se kabe ko bhi mai-khana kahenge unwan badal denge faqat aap ki khatir hum jab bhi kahenge yahi afsana kahenge parwane ko hum shama samajhte hain sar-e-sham hangam-e-sahar shama ko parwana kahenge sar rakh ke tere panw pe hum karte hain shikwa kuchh log ise sajda-e-shukrana kahenge ban jaega allah ka ghar khud hi kisi din filhaal 'fana' dil ko sanam-khana kahenge