kai dinon tak nazar mein rahne pe han karegi wo pahli koshish pe dil-kushada kahan karegi khuda ki marzi bata raha tha bichhadne wala wo jaanta tha ki gili lakdi dhuan karegi mujhe pata hai main us ki nazron se gir gaya hun meri tawajjoh bhi ab use bad-guman karegi bichhad gae dost to ghalat-fahmiyan badhengi zamin pe bikhre tanon ka dimak ziyan karegi baghair patwar moajiza hoga par lagna ye lahr par hai kidhar safina rawan karegi koi shagufa tumhaare hansne ka muntazir hai kisi nazare ko dhup aa kar ayan karegi