hum aagahi ko rote hain aur aagahi hamein waraftagi-e-shauq kahan le chali hamein leti gai thi hum se saba zauq-e-dilbari deti gai thi lazzat-e-be-rah-rawi hamein un ke ghurur-o-ghamza-o-naz-o-ada ki khair ras aa chali thi rasm-o-rah-e-ashiqi hamein hum zarra zarra dhund chuke mauja-e-sarab aur qatra qatra dhund chuki tishnagi hamein aai thi chand gam usi bewafa ke sath phir umr bhar ko bhul gai zindagi hamein