raat ka pichhla pahar kaisi nishani de gaya

raat ka pichhla pahar kaisi nishani de gaya
munjamid aaankhon ke dariya ko rawani de gaya

main sadaqat ka alam-bardar samjha tha jise
wo bhi jab rukhsat hua to ek kahani de gaya

pahle apna tajziya karne pe uksaya mujhe
phir natija-kheziyon ko be-zabani de gaya

kyun ujalon ki nawazish ho rahi hai har taraf
kya koi bujhte charaghon ko jawani de gaya

kyun na is aawara baadal ko duaen dijiye
jo samundar ko khalish sahra ko pani de gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close