hum aaj apna muqaddar badal ke dekhte hain tumhaare sath bhi kuchh dur chal ke dekhte hain udhar charagh bujhane ko hai hawa betab idhar ye zid ki hawaon mein jal ke dekhte hain chalo phir aaj zaminon mein jazb ho jaen chhalak ke aankh se bahar nikal ke dekhte hain ye ishq koi bala hai junun hai kya hai ye kaisi aag hai patthar pighal ke dekhte hain ajib pyas hai dariya se bujh nahin pai jo tum kaho to samundar nigal ke dekhte hain wo gar nigah mila le to moajiza kar de isi liye to udhar hum sambhal ke dekhte hain badal ke khud hi hamin rah gae zamane mein chale the ghar se ki duniya badal ke dekhte hain