hum aaj-kal hain nama-nawisi ki taw par din-bhar kabutaron ko bhagate hain baw par rindon ko ek roz to dariya-dili dikha kashti-e-mai ko chhod de saqi bahao par likkhun wo sher-e-ariz-e-rangin ki wasf-bin takhta chaman ka sadqe hon kaghaz ki naw par kuchh hajat-e-kabab nahin kaif-e-ishq mein sikhen dil-o-jigar ki lagin hain alaw par be-minnat-e-jahan-e-tunuk-zarf agar mile wallah phir to charb hai khasha pulaw par qane ki munh se nemat-e-duniya khafif hai bhaari hai paw nan par meri nan paw par aafat-nishan hain dida-e-fattan ki putliyan tashhir samri ko karenge ye gaw par bazicha-gah-e-ishq mein wo hun qimar-baz donon jahan rakh diye hain ek daw par kyun kar baraatiyon se na ghunghat kare dulhan sari sabha miti hai tumhaare banaw par gul-gasht ki hawas chamanistan ki aarzu ai be-qarariyo mere dil ko lagaw par karta hun main jo marham-e-kafur ki talash karti hai chandni meri sine ke ghaw par kashti-e-mai lagi rahi saqi labon ke ghat hum mai-kashon ka qafila hai chal-chalaw par main jal mein aa gaya wo na aaya fareb mein main zad pe chadh gaya wo na thera lagaw par parwane ki tarah na bujha de charagh-e-husn tuti-e-khat ke aatish-e-rukh se jalao par ilm-e-safina us ko tujhe ilm-e-sina 'bahr' tu pul par aur shaikh hai kaghaz ki naw par