hum ab jazbaat-o-ehsasat se ye kaam lete hain kisi ke chot aae hum kaleja tham lete hain musalsal roz-o-shab ki gardishon se kaam lete hain sukun-e-subh se hum iztirab-e-sham lete hain samajhte hain ada-e-shukr ko hi kaif-o-sarmasti tahi mai-khana-e-fitrat se jab hum jam lete hain sitam be-fikr ho kar banda-parwar kijiye hum par hum apni zat par har baat ka ilzam lete hain kiya karte hain qaem surkhiyan rudad-e-ulfat ki mere aansu mere zakhmi jigar se kaam lete hain qayamat phir bapa hone lagi shauq-e-shahadat mein wo apne hath mein phir tegh-e-khun-asham lete hain mohabbat hai khayal-e-kham lekin tere diwane junun mein raat din lutf-e-khayal-e-kham lete hain ye ulfat hai wo sauda jis mein yunhi hoti aai hai hamesha dil jo dete hain gham-o-alam lete hain umiden sakht-jaani ban gai hain warna ai 'nami' hum apni maut se paigham par paigham lete hain