na jazb-e-shauq kaam aaya na soz-e-ishq kaam aaya ishaare se usi ke chahne walon mein nam aaya kise tab-e-nazar thi did ka jab hukm-e-am aaya hazaron bijliyan kaundin wo jab baala-e-baam aaya meri taqdir ki tarikiyan jab badh gain had se siyah-khane mein mere aap wo mah-e-tamam aaya hua ehsas rukhsat intiha-e-yas-o-hirman mein hamein kya ab agar us ka payam aaya salam aaya muqaddar ki tahi-dasti ne badla rang-e-mahfil ko hui mina tahi jis waqt mujh tak daur-e-jam aaya jahan bhatki hui khud rahbar ki rahbari nikli bil-akhir ek rah-e-ishq mein aisa maqam aaya tabahi to usi din kaenat-e-ishq mein aai liye jab husn lakhon mahsharon ka ehtimam aaya nigah-e-dil se main ne husn ko ek bar dekha tha ki lene ishq mujh se zindagi ka intiqam aaya nasib-e-ishq the dar-o-rasan ai husn albatta ye kis ke sar raha ilzam kis par ittiham aaya hai 'nami' didani us ki sahar ki hashr-samani balaen ban ke jis kambakht par har-waqt-e-sham aaya