hum abhi pakke adakar nahin hain bhai

hum abhi pakke adakar nahin hain bhai
is liye laeq-e-dastar nahin hain bhai

ye jo har roz ka rona hai hamara rona
hum mohabbat mein samajhdar nahin hain bhai

is liye ghar mein koi rakkha na tha darwaza
main samajhta tha ki diwar nahin hain bhai

mujh mein jari hai musalsal ye jo dariya-e-shakeb
june ke roze bhi dushwar nahin hain bhai

khun-khwari bhi bharose se janam leti hai
shukr karta hun ki gham-khwar nahin hain bhai

tum yahan aane ka ek bar irada to karo
masale itne bhi dushwar nahin hain bhai

beach mein aae hain jis din se parae rishte
baat bhi karne ko tayyar nahin hain bhai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close