ye in dinon jo humse itni rukhaiyan hain

ye in dinon jo hum se itni rukhaiyan hain
shayad kisi ne baaten kuchh kuchh sujhaiyan hain

ai andalib sach kah kya fasl-e-gul phir aai
faujen junun ki hum par kaisi chadhaiyan hain

kis be-adab ne tum se gul-bazi aaj ki hai
munh par tumhaare choten kya sakht aaiyan hain

diwar-o-dar ki chhati surakh ho gai hai
kya rauzanon se us ne aankhen ladaiyan hain

paiwasta abru us ki main dekh kar ye samjha
do shakhen hain ki jhuk kar milne ko aaiyan hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close