hum ahl-e-arzu pe ajab waqt aa pada har har qadam pe khel naya khelna pada apna hi shahr hum ko bada ajnabi laga apne hi ghar ka hum ko pata puchhna pada insan ki bulandi o pasti ko dekh kar insan kahan khada hai hamein sochna pada mana ki hai farar magar dil ko kya karen mazi ki yaad hi mein hamein dubna pada majburiyan hayat ki jab had se badh gain har aarzu ko panw-tale rondna pada aage nikal gae the zara apne-ap se hum ko 'habib' khud ki taraf lautna pada