hum ahl-e-azm agar dil se justuju karte to aur manzil-e-jaanan ko surkh-ru karte na dastaras mein bahaaren na dil hi qabu mein gharib-e-shahr kahan tak jigar lahu karte kise khabar hai ki dil ke kanwal khilen na khilen kati hai umr bahaaron ki aarzu karte na aa sake the ye haalat ka taqaza tha jo aa gae the to phir khul ke guftugu karte ye faisla to kiya dil ne bar bar magar ek aarzu hi rahi tark-e-arzu karte sukun-e-sina-e-tufan 'mujib' kya shai hai ye jaaniye to na sahil ki aarzu karte