jo pure hone se rah gae the wo khwab rakkhe hue hain ghar mein yaqin mano purani rut ke gulab rakkhe hue hain ghar mein tumhaare lafzon ki dhimi khushbu hawas-e-khamsa ko nochti hai khaton ki surat mein sach kahun to azab rakkhe hue hain ghar mein visal lamhon ka goshwara alag se likkha hai diary mein alag se furqat ki bebasi ke hisab rakkhe hue hain ghar mein hamein padhana hai apne bachchon ko apni naslen sanwarni hain isi liye to hum apni haalat kharab rakkhe hue hain ghar mein